Friday 13 January 2012

Dhadkano ki zubaan


Raahe zindagi ki asaan nahi hoti,
Kabhi asaan kabhi mushkil har manzil aaam nahi hoti.

Milte hai musafir kayi is raah me,
Kuchh chhut jaate hain is beech, har shakhsiyat khas nahi hoti.
Har mausam ek sa nahi hota, har subah ke baad sham nahi hoti.

Laga baithe dil kisi se to zandagi ka rang hi badal gaya,
Kal tak tha jo kabhi aam vo khas ban gaya.
Har subah nayi, har raat khushgwaar ho gayi,
Pata nahi ye pyar ka nasha tha, jo kisi ki dhadkan bhi khas ban gayi
Na rahi neend ankho me, bhukh pyas chali gayi.
Kya tha ek tasveer me jo saanso me bas gaya,
Har pal use niharna ek kaam ban gaya,
Har pal ankhe dubi si, vo aks dhadkan me bas ke reh gaya.

Kangan, jhumke, singaar uska, Baal reshmi nayan kajrare
Niharte hue saanse tham gayi,
Deedar karne ko uska zindagi betaab hui.
Har nazara subah shaam ka vaisa na raha
Maan me khushi, hotho par muskaan,maano zindagi badal gayi,
Na chahat thi use paane ki, bas aarzu thi uske deedar ki aur saanse tham gayi.

Ise pyar kahe ishq ya mohabbat khud hi na pata,
Shabd jo bayan kar paye ankhe zyada kehti thi,
Bas tasveer se bahar deedar ho arzoo ye rehti thi.

So jaate the ye soch kar shayad sapno me ayegi,
Subah jaldi uthne lage shayad milne vo aayi ho,
Ek tasveer nahi vo jeeta hua sitaara ho,
Nigah hoth par rehti hai meri shayad ye kuchh gungunayenge,
Pyar kitna hain unse ye dil ki dhadkane samjhayengi.

Hain aitbaar hume us par
Log kehte hain ye pyar nahi ek khwaab hai
Vo hai ab tak tasveer me ye uske pyaar ka tohfa hain
Intzaar rehta hai aaj use hamare deedar ka
Nazar lagati hai duniya na jaane vo matlab pyar ka…
Ye pyar nahi hai lafzo ka awaaz hai ye dhadhkan ki,
Taqdeer me hai humaari itna hi is baat se koi gilah nahi
Tasveer hai saamne isse badhi koi wafa nahi
Mahobbat insaan se nahi hoti hai, na vo zubaan se byaan hoti hai
Vo samajhti hai meri dhadkan ko, ye ishq ki ibaadat hoti hai

Na is pyaar par hai umar ka parda, na samay ki koi pabandi hai
Shaam raat din savere ankhe use basa leti hain
Kehne ko nahi hai kuchh magar, vo ankhe bahut kuchh kehti hain
Har rang kudrat ka usme,har chahat uski dhadkan me
Na duri mehsus hoti hai, har dhadkan uski hain hamare sapno me…
Ishq aisi kahani hai,do dilo ki paheli hain
Karte hain mahobbat aaj bhi, lavzo se kabhi ankho se
Rishta nahi hai ye saalo ka, fir bhi basi hai tan mann me
Nahi lavzo se byaan hota ab, dekho hamari ankho me….   


1 comment: