Wednesday 11 January 2012

Ek Meetha Lamha



Zindagi kabhi kabhi inthaan leti hain,
Kitaab ke palatte panno ki tarah karvate leti hai,
Har panno me kuchh yadien sametti hui si,
Khilkhilati hui ankho me basi khushi si,
Un zulfo hi hilti lato ki tarah, Un hotho se churayi laali si,
Kuchh pal zindagi ke jannat ban gaye.


Jhumko ki chamak, kesuyo ki mehak,
Sharma ke unka vo haath chhudhana, Fir darke halka sa kapkapana.
Bas yadien reh jaati hai zehen me, Na rehta hai koi tarana.
Sharma ke aana baaho me ban jata hai ek afsaana.


Zindagi kuchh inthaan sa leti hai,
Beeti hui yaade jab aati hai, Neer  chhalak jaata hai nayano se
Maano aks unka kehta ho yaad kar un haseen palo ko,
Ek baar fir muskurana....
Raat neend ke palo me jab milne aati hai
Chham chaam karti payal unki, Hasi khil aaati hotho pe unki.
Phir maano vo pal aaya ho, roz milne vo aati hai
Dekh hume khilkhilati hai, hain unhe intzaar hamara,
Bharosa sa dilaati hai....
Kuchh khatti meethi yaade unki, akele me gudgudati hai
Zindagi kabhi kabhi inthaan leti hain.


Palatte haseen un lamho si kyu karvat leti hai
Mehfuz hai yadien unki, vo tohfe vo baate unki,
Raat me chhup kar chhat par apni,
Dari sehmi si kuchh baate karna, Adaaye alag sit hi bas unki
Saadagi phulo ki si thi kuchh unme, Yaad dilate hai aaj sapne.
Zindagi kabhi kabhi inthaan leti hain
Zindagi kabhi kabhi inthaan sa leti hain…..


No comments:

Post a Comment