Tuesday 17 January 2012

Pari ki kahani, meri zubaani..

Ek ladki thi anjaani si, zindagi uski ek kahani si.
Pyaari ankhe masum chehra, chahate bhi thi bachkani si.
kamre me reh kar likhna gungunana
Takiye ko apni baaho me le kar, Sapno me khoyi, fir muskurati lagti pyari si.
Subah subah geeli dub par chalti, Phoolo ko chhuti,Titliyo ko pakadhti
Atkheliya uski, yaad dilaye bachpan ki.
Chahate anokhi, baato me masumiyat
Maangti bas ek baraf ka gola, Fir chatkare le kar usko chackhti.


Chhat chuki thi bachpan ki aayu
Usme tha par bachpan, ab tak.
Na pasand the use gehne moti,
Phoolo se singaar karti vo
Saawan me bheegna, uska gungunana
Baahe failaye, asmaan ko dekhna,
Ankhe band kar chakhti bundo ko.
Barsaat ke paani me, kagaz ki kashti chalana,
Itne me hi khush ho jaati vo.
Chahate chhoti, andaaz alag the
Duniya ki asliyat se, ab tak bekhabar thi vo.


Ghar bhagti baarish me, Jaa kar bas darpan ke aage,
Gardan jhukaye, kesh nihaarti, Baalo ko suljhaye vo.
Ankho me chamak alag thi, sundarta ki thi paheli vo
Bholi Surat, kajraari ankhe Kitni sundar, khud na pata tha usko.
Jab bhi kehta tha main usse, uske roop ki sachchayi ko,,
Zor se hasti, thi ye keh kar Tumhe kaha se sundar main lagti hoon,
Tum karte ho pariyo ki baate, Main ek aam si ladki hoon..
Kaise samjhaye ab use hum, sundarta ka kya paimana hai,
Na moti hai na kangan jhumke, Ankho me chamak,
hotho par muskurahat, yahi to pariyo ka gehna hai.
Kyu usko hai geheno ki zarurat, dil me chhal na uske hai.


Fir, kuchh din guzre, kuchh mahine guzre,
Thi kahi vadiyo me vo...
Barsaat hui pahadhiyo par, bijli kadhkti, vaadiyo me gunjti,
Darti, kapkapati, kaya me ek sihran uthti, Khidki ke paas ja baithi vo.
Baarish dekhna, bundo ko Sunna , unke sang gungunati vo.
Kuchh dhune churati bundo se, par us par nritya karti vo.
Subah subah jharne par jaa kar, paani ke sang khelti vo,
Baal bhiga ke, haath badha kar, jharne ko mehsus karti vo,
Jharne ke paani me tan bhigoye, pani me haatho se chhap chhap karti vo.


Fir kuchh mahine guzre, mausam guzre,
Samundar kinare aayi thi vo.Nange paav ret par chalna,
Ret ko sanjo ke mehel banana, ret par kuchh likh use mitana,
Nazakat shokhiya bahut thi usme.
Lehro par chalne ki koshish karti, thandi lehero ko mehsus karti.
Ek kinaare par baith kar, suraj dubne ka intzaar vo karti.
Waqt suraj dhalne ka aaya, use samundar me milta paaya.
Nayan band kar, haath failaye, laali ko chehre par mehsus karti..
Adaye alag thi, soch bhi juda thi,


Aaj bhi jab dekhte hai usko, Yahi har baar vo kehti hai,
Main to hoon ek aam si ladki,
Dekho khud ko meri nazar se,
Aayi ho tum kisi dusre jahan se.....

No comments:

Post a Comment